Author

Akshay Kathuria

"My books are marked down because most of them are marked with a on the edge by publishers."

Akshay Kathuria ek shayar, kahaniyon ke rachiyata aur ek ubharte huye “kalam ke sipahi” hai, inhone likhne ki shuruwat apne shabado ko geeto mein tabdeel karke ki thi aur aaj ye apni har rachna ko ek shayari aur kahani mein tabdil karte hai. Ek lekhak ki humesha koshish hoti hai ki wo jo bhi likhe padhne wala usse sambandhit mehsoos kare, apko inki rachnao mein aisa mehsoos zaroor hoga. Inhone snaatakottar/post-graduate ki apni padhai bhartiya vidyapeeth se ki hai aur ye peshe se nigamit prashikshak (corporate trainer) hai. Apni kaagazz aur kalam ki rachnao ko ek pratibimb ki petti mein samaye huye, aaye hai aapke samne Akshay Kathuria ek shayar aur lekhak ke roop mein - shutterbugpoet Neha Duseja ek ubharti hui lekhika aur kamal ki kahaniyaan bayaan karne walo mein se ek hai, inke likhne aur kahani bayaan karne ke kaushal ke baare mein aapko iss kitaab ke madhayam se bhi pata chalega. Ek snatkottar/post-graduate delhi vishwavidyalaya se aur peshe se prakaran lekhika (content writer) hai, inhone apne likhne ke shuruwati daur mein apni rachnao ko kavitao ka roop diya tha aur bahot samajh ke sath aur duniya se jodne ki koshish mein unn sab ko ab ek kitaab ka roop diya hai aur koshish ki hai ki aap sab bhi kuch aisa hi mehsoos kare jaisa ek lekhak ka mann karta hai apni rachnao ko logo ki zindagi se jodne mein. Neha Duseja ki kalam humesha se inki sabhi rachnao mein inko pradarshit karti hai, maano har rachna kitni hi sehaj ke sath likhi gayi ho - kalamsehajki

Publisher FanatiXx Publication
Number of Books 1